02 June 2010

Har phool khandazan hai badaulat rasool ki


Baagh-e-jahan pe chayi kya rangat rasool ki
Har phool khandazan hai badaulat rasool ki

Kya rang layi shaan-e-ayadat rasool ki
Budhiya k dil me jaag uthi ulfat rasool ki

Kha-kha k sang-o-khisht adu ko duayein di
Kitni ajeebter thi ye aadat rasool ki

Hota Umar k adl ka kyuker na dabdaba
Aa-een tha khuda ka adaalat rasool ki

Jis dam khuda karega gunaaho ka faisla
Us dam chalegi aala wakalat rasool ki

Yu to bahut the aashiq-e-sarkar-e-do jahan
Lekin uvais ko mili khil-at rasool ki

Padh k to dekh aa-ya-ae tilker rasul 'hilal'
Malom hogi phir tujhe azmat rasool ki

No comments:

Post a Comment