16 February 2010

Nazr Hazrat Imam Hussain

Karbal agar sadaf hai to gauhar hussain hai,
Karbal agar dulhan hai to zevar hussain hai!

Saqi agar nabi hai to hazrat ali subo,
Hazrat ali subo hai to saghar hussain hai!

Apne maka me noori shuaaon ko dekhkar,
Eisai bola haamil -e- anwar hussain hai!

Dono ki takhtiyo pe gire tukde saib ke,
Aayi nida hasan k barabar hussain hai!

Har khit-taye zami ko hai ehsas-e-kamtari,
Karb-o-bala ko jab se mayassar hussain hai!

Sar sabz jis se gulshan -e- islaam ho gaya,
Aab-e-hayat ka wo samandar hussain hai!

Wo kitni khushnasib khawateen hai "hilal",
Jinke pisar hussain hai shauhar hussain hai!

No comments:

Post a Comment