16 February 2010

Batau kya tere kooche se kya mila mujhko...

Huzor keh dein bas ik baar jo bhala mujhko,
To gham nahi hai zamana kahe bura mujhko!

Laga hayaat ka pauda khila - khila mujhko,
Nasim-e-gulshan-e-murshid ne jab chua mujhko!

Ye sab ata-o-nawazish hai mere murshid ki,
K sher kehne k qabil bana diya mujhko!

Mai apni aankh ke saghar ko leke aaya hu,
Nazar se baad-e-irfaa mile zara mujhko!

Jo tumne chashm-e-karam se meri taraf dekha,
Mai khud ko bhul gaya hosh kab raha mujhko!

"Sukooon kaif masarrat shifa karam azmat"
Batau kya tere kooche se kya mila mujhko!

Mai tumko roz tasawwur me dekh leta hu,
k tumse door na kar paya faasla mujhko!

Kisi bhi cheez me wo zayqa nahi paaya,
mila jo aapke langar me zayqa mujhko!

Dar -e- Rasool se jisko ata hui khil-at,
Mila hai saya 'hilal' aise peer ka mujhko!

No comments:

Post a Comment