02 April 2010

Nazr Hazrat Sabir kaliyari

Hussaini sabr ka makhsoos ye faizaan hai sabir
K tum pe sabr-o-isteqlaal ka meezan hai sabir

Mehak aati hai jisse humko gulhay-e-aqeedat ki
Tumhare aastane per bhi wo guldaan hai sabir

Ujala aapka sabir nahi hai sirf kaliyar me
Ziya se aapki raushan ye hindustaan hai sabir

Tumhari manqabat likhker hua maloom ye mujhko
Tumhare naam lewa ka bada samman hai sabir

Jise bhi maarfat ki bheek lena ho chala aaye
Wilayat k khazane se bada dhanwaan hai sabir

Rah-e-haq me fana hokar hayaat-e-jawida pao
Zamane k liye ye aapka ailaan hai sabir

Shabeeh-e-ghause aazam aur jamal-e-sarwar-e-aalam
Khuday-e-lam yazal ki bilyaqi pehchaan hai sabir

Tumhara naam jis din se bana wird-e-zuba mera
Usi din se har ik mushkil meri aasan hai sabir

Tumhari bazm me yu to hazaro aaye hai lekin
'Hilal-e-Eid' bhi is bazm ka mehmaan hai sabir

No comments:

Post a Comment